Skip to main content

1958 Ki Is Film Aur Is Gane Ko----







Song Trivia – Aurat Ne Janam Diya Mardon Ko

  1. Aurat Ne Janam Diya Mardon Ko is a RealisticBlack & White Bollywood Song of 1958.
  2. Sahir Ludhiyanvi received a Filmfare Nomination for Best Lyricist in the 6th Filmfare Awards (1959).

Know more about the song “Aurat Ne Janam Diya Mardon Ko”

Q. When did the song “Aurat Ne Janam Diya Mardon Ko” release?
Ans. The song “Aurat Ne Janam Diya Mardon Ko” is from the film Sadhna (1958). However, the video song was uploaded on YouTube by Shemaroo Vintage HD on 24 January 2020.

Q. Who is the lyricist of the song “Aurat Ne Janam Diya Mardon Ko”?
Ans. Sahir Ludhiyanvi has written the lyrics of the song “Aurat Ne Janam Diya Mardon Ko”.

Q. Who is the Music Director of the song “Aurat Ne Janam Diya Mardon Ko”?
Ans. Datta Naik has composed the song “Aurat Ne Janam Diya Mardon Ko” from Sadhna (1958).

Q. Who is the singer(s) of the song “Aurat Ne Janam Diya Mardon Ko”?
Ans. Lata Mangeshkar is the singer of the song “Aurat Ne Janam Diya Mardon Ko”.

Q. Who has performed in the song, or Who is the actor/actress in the song?
Ans. Vyjayanthimala has performed in the Song.

Song-Aurat ne janm diya mardon ko (Sadhana) (1958) Singer-Lata, Lyrics-Sahir Ludhianvi, MD-N Datta

Lyrics

Aurat ne janam diya mardon ko
mardon ne usey baazaar diya
jab jee chaaha masla kuchla
jab jee chaaha dhutkaar diya
aurat ne janam diya mardon ko

tultee hai kaheen deenaaron mein
bikti hai kaheen baazaaron mein
nangee nachwaayee jaati hai
aiyaashon ke darbaaron mein
ye wo be-izzat cheez hai jo
bant jaati hai izzatdaaron mein
aurat ne janam diya mardon ko

mardon ke liye har zulm rawaan
aurat ke liye ronaa bhi khataa
mardon ke liye laakhon sejein
aurat ke liye bas ek chitaa
mardon ke liye har aish ka haq
aurat ke liye jeena bhi sazaa
aurat ne janam diya mardon ko

jin honthon ne inko pyaar kiya
un honthon ka vyopaar kiya
jis kokh mein inka jism dhalaa
us kokh ka kaarobaar kiya
jis tan se ugey konpal ban kar
us tan ko jaleelo khaar kiya
aurat ne janam diya mardon ko

mardon ne banaayeen jo rasmein
unko haq ka farmaan kahaa
aurat ke zinda jalne ko
qurbaani aur balidaan kahaa
ismat ke badley roti di
aur usko bhi ehsaan kahaa
aurat ne janam diya mardon ko

sansaar ki har ek besharmi
gurbat ki god mein palti hai
chaklon hi mein aakar rukti hai
phaakon se jo raah nikalti hai
mardon ki hawas hai jo aksar
aurat ke paap mein dhalti hai
aurat ne janam diya mardon ko

aurat sansaar ki kismat hai
phir bhi taqdeer ki heti hai
awtaar payambar janti hai
phir bhi shaitaan ki beti hai
ye wo badkismat maa hai jo
beton ki sej pe leti hai
aurat ne janam diya mardon ko
mardon ne usey baazaar diya
jab jee chaaha masla kuchla
jab jee chaaha dhutkaar diya
aurat ne janam diya mardon ko

Comments

Popular posts from this blog

Jaane Kahan Mera Jigar Gaya Ji - Johnny Walker and Yasmin (Vinita Butt)

Vijaya Choudhury old hindi actress {Real name is Qurasha Begum.}

Vinod Khanna's First Wife, Akshaye&Rahul Khanna's Mother Geetanjali, Dies At 70