film (Aisa Bhi Hota Hai)(1971) 

Chand Rato Ko Nikle Na Nikle 



Lyrics of Chand Rato Ko Nikle Na Nikle - चाँद रातों को निकले ना निकले

chand rato ko nikle na nikle
chand rato ko nikle na nikle
din me suraj na chamke to kya hai
apne chote se ghar me ujala
ab sada ke liye ho gaya hai
chand rato ko nikle na nikle
din me suraj na chamke to kya hai

ek hansi iski hai sari duniya meri
ek muskan so sal ki jindagi
mujhko duniya me ab or kya chahiye
mil gayi hai jamane ki sari khushi
maine kal ko jo dekha tha sapna
aaj kismat se pura hua hai
apne chote se ghar me ujala
ab sada ke liye ho gaya hai
chand rato ko nikle na nikle
din me suraj na chamke to kya hai

har ghadi har samay muskurata hua
phul sa bachpana meri baho me ho
lal mera bada hoke jaye jaha
kamyabi sada iski raho me ho
dur har dum rahe gum ke saye
ye hamesha hi meri dua hai
apne chote se ghar me ujala
ab sada ke liye ho gaya hai
chand rato ko nikle na nikle
din me suraj na chamke to kya hai

Comments

Popular posts from this blog

Jaane Kahan Mera Jigar Gaya Ji - Johnny Walker and Yasmin (Vinita Butt)

CUCKOO MORAY -DANCES

Vijaya Choudhury old hindi actress {Real name is Qurasha Begum.}