bhagwaan ki duniya gol hai
Song-Hamne chakkar khaa ke dekha (Bijli)(1950) Singers-Mukesh, Shamshad Begam, Unknown male voice 1, Unknown male voice 2, Lyrics-Bharat Vyas, MD-Khemchand Prakash
Male chorus
Female chorus
Male + Female chorus
Lyrics
kehne waale kehte hain
kya
bhagwaan ki duniya gol hai
bilkul sach
ae ji hamne chakkar khaa ke dekha
badi dhol mein pol hai
hamne chakkar khaa ke dekha
badi dhol mein pol hai
pol hai ji pol hai
pol hai ji pol hai
hamne chakkar khaa ke dekha
badi dhol mein pol hai
bhaag ki bhi
bhagwaan ne bhaiyyaa
aji ajab banaai rekha
gadhe ko haathi pe chadh kar ke
halwaa khaate dekha
arre zamaana badal gayaa hai
mera seena dhadkaa
aeji chhod ke saadi
pant pehan kar
ladki ban gayi
ladkaa
naak hain inki chinchpokli
aankhen aasansol hain
naak hain inki chinchpokli
aankhen aasansol hain
hamne chakkar khaa ke dekha
badi dhol mein pol hai
hamne chakkar khaa ke dekha
badi dhol mein pol hai
pol hai ji pol hai
pol hai ji pol hai
hamne chakkar khaa ke dekha
badi dhol mein pol hai
dekh lo ye shoorveeron ki khadi santaan hai
gaal hain pichke huye
aur kamar jo hai
wo tedhi kamaan hai
aankh mein surmaa hain daaley
ye zanaane saab hain
zinda inke baap hain
aur moonchhen inki saaf hain
bade suhaane lagte hain ye
suno door ke
dhol hain
bade suhaane lagte hain ye
suno door ke dhol hain
hamne chakkar khaa ke dekha
badi dhol mein pol hai
hamne chakkar khaa ke dekha
badi dhol mein pol hai
pol hai ji pol hai
pol hai ji pol hai
hamne chakkar khaa ke dekha
badi dhol mein pol hai
dekh lo in auraton ko
jinki do do chotiyaan
ae ji ghoomti hain motoron mein
hum pakaate rotiyaan
inke fashion ne hamaara
to deewaala kar diya
bik gaye bartan hamaare
reh gayi
langotiyaan
devi ji ne gharrr grihasti
kar di daanwaadol hai
devi ji ne gharrr grihasti
kar di daanwaadol hai
hamne chakkar khaa ke dekha
badi dhol mein pol hai
hamne chakkar khaa ke dekha
badi dhol mein pol hai
pol hai ji pol hai
pol hai ji pol hai
hamne chakkar khaa ke dekha
badi dhol mein pol hai
jab se mardon ne mundaa daali hain
moonchh aur daadhiyaan
tab se hamne bhi pehen li
chhod di hain saadiyaan
gaalon par pawder aur laali
jab lagaane tum lage
tab se ghar ko chhod kar
daftar ko jaane hum lage
ab to mauj karenge hum
sunaa
ab to mauj karenge hum
tum sab ka bistar
gol hai
ab to mauj karenge hum
tum sab ka bistar gol hai
hamne chakkar khaa ke dekha
badi dhol mein pol hai
hamne chakkar khaa ke dekha
badi dhol mein pol hai
pol hai ji pol hai
pol hai ji pol hai
hamne chakkar khaa ke dekha
badi dhol mein pol hai
tum bhi jhoothi
tum bhi jhoothe
sun lo meri baat
ae ji tum bhi sachchi
tum bhi sachche
dharo haath mein haath
re bhaiyya dharo haath mein haath
bin ladke ke suno akeli
ladki kabhi naa sajti
ek haath se is duniya mein
taali kabhi na bajti re bhaiyya
taali kabhi na bajti
saanch bhi tik sakta hai
paani sang mile to bhaiyyaa
dhoodh bhi bik sakta hai
waah waah bilkul sach hai
ladke ke peechhe ho le to
ae ji ladki ka bhi mol hai
ladke ke peechhe ho le to
ladki ka bhi mol hai
hamne chakkar khaa ke dekha
badi dhol mein pol hai
hamne chakkar khaa ke dekha
badi dhol mein pol hai
ab tak na cinema dekha o mere ladale balam
![]() | Mera Jiya Ghabraye Tere Chote Se Ganv Me | Geeta Dutt, Paro Devi | Khemchand Prakash | |
Bijli (1950) | Bharat Vya |
Lyrics of Mera Jiya Ghabraye Tere Chote Se Ganv Me - मोरा जिया घबराये तेरे छोटे से गाँव में
o mora jiya ghabrayeuf mora jiya ghabraye
tere chote se ganv me bambai ki sair kara de
balam mohe bambai shahar dikha de
na na na na na na
o mora jiya ghabaraye
tere chote se ganv me bambai ki sair kara de
balam mohe bambai shahar dikha de
tere is chote se ganv me na moter na rel
ghas fus ki jhopadi me katu jiwan rel
balam is jel se chhuda de
balam is jel se chhuda de
dhua gadi pe baitha de chuk chuk chuk chuk pahuncha de
o mora jiya ghabraye
tere chote se ganv me bambai ki sair kara de
balam mohe bambai shahar dikha de
n na na are waha dhan par rashan gori
kaodo pe santhan
kamro par pagadi ka ragada
kamro par pagadi ka ragada
pani bikata mol waha le log hai rangile
chup chil chanile bhola jiya bharma de
ho mera kaha man mat kar guman
gori bambai ki bat bhula de
balam mohe bambai shahar dikha de
are kya kihki karm ki rekha haye
ab tak na snima dekha ab tak na cinema dekha
kaisa tha sawan aaya re kaisi thi chandr lekha
ab tak na cinema dekha o mere ladale balam
tohe ram ki kasm jo paati ki chat khila de
haye tere chote ganv me bambai ki sair kara de
balam mohe bambai shahar dikha de
ghas fus ki jhopdi meri jamna nadi kinare
chand aur suraj aur ye sitare
jiske aage bambai tera pada pada jhak mare
ho gori ye chandni rate aur pyar ki bate
jara ghunghat ki aur muska de
ho mera kaha man mat kar guman
gori bambai ki bat bhula de
balam mohe bambai shahar dikha de
Comments
Post a Comment